Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai,
Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai,
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai,
Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai,

K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai,
Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai,
Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai,
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai,

Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta,
Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta,
Meri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le,
Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta,

Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama,
Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama,
Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka,
Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama....!!

Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai
Bhari mehfil mein bhi ruswaa har baar karta hai
yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin
Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai

Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain
Koi jab roop gadhta hoon to
saanche toot jate hain


Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain
Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain

Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage
Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage

Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta
Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!